[ Nazm ]
Sandali jism ki khushbu se mahakti hui raat,
Mujh se kahti hai yahin aaj basera kar le,
Gar teri neend ujaalon ki parastaar nahin,
Apne ahsaas pe zulfon ka andhera kar le,
Main ke din bhar ki chaka-chaund se uktaya hua,
Kisi ghunche ki tarah dhoop mein kumhlaya hua,
Ek nayi chhanw mein sustaane ko aa baitha hun,
Gardish-e-dahr ke aalaam se ghabraya hua,
Sochta hun ke yahin aaj basera kar lun...
Subah ke saath kadi dhoop khadi hai sar par,
Kyun na is abr ko kuchh aur ghanera kar lun,
Jaane ye raat akele mein kate ya na kate,
Kyun na kuchh der shabistaan mein andhera kar lun,
Lekin is raat ki ye baat na badh jaaye kahin,
Tujh se mil kar ye mere dil ko laga hai dhadka,
Raakh ho jaaunga main subah se pahle pahle,
Khul ke seene mein jo ahsaas ka shoala bhadka..!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment