Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de,
Ye charagh phir bhi charagh hai kahin tera haath jala na de,
Naye daur ke naye khwab hain naye mausamon ke gulaab hain,
Ye mohabbaton ke charagh hain inhein nafraton ki hawa na de,
Zara dekh chaand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamaam shab,
Tera naam likkha hai ret par koi lahar aa ke mita na de,
Main udaasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jaan ke mazaar par,
Na diye jalein meri aankh mein mujhe itni sakht saza na de,
Mere saath chalne ke shauq mein badi dhoop sar pe uthayega,
Tera naak naqsha hai mom ka kahin ghum ki aag ghula na de,
Main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karun,
Meri saltanat mera fan rahe mujhe taaj-o-takht khuda na de..!!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment