Friday, May 4, 2018

Maan Mausam Ka Kaha Chhaii Ghata Jaam Utha

Maan mausam ka kaha chhaii ghata jaam utha,
Aag se aag bujha phool khila jaam utha,

Pi mere yaar tujhe apni qasam deta hun,
Bhool ja shikwa gila haath mila jaam utha,

Haath mein chaand jahaan aaya muqaddar chamka,
Sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha,

Ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa,
Der kya karna yahaan haath badha jaam utha,

Pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaan,
May-kade mein koi chhota na bada jaam utha.!!

"Basheer Badr"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...