May-kashi ab meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin,
Ye bhi ek talkh haqeeqat ke siwa kuchh bhi nahin..
Fitna-e-aql ke jooya meri duniya se guzar,
Meri duniya mein mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin..
Dil mein wo shorish-e-jazbaat kahaan tere baghair,
Ek khamosh qayamat ke siwa kuchh bhi nahin..
Mujh ko khud apni jawani ki qasam hai ke ye ishq,
Ek jawani ki shararat ke siwa kuchh bhi nahin.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Fitna-e-aql = mischief caused by the intellect,
Jooya = one on quest, a seeker,
Shorish-e-jazbaat = tumult of emotion,
No comments:
Post a Comment