Maana ke rang rang tera pairahan bhi hai,
Par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai..
Aql-e-ma'ash o hikmat-e-duniya ke bawajood,
Hum ko azeez ishq ka deewana-pan bhi hai..
Mutrib bhi tu nadeem bhi tu saqiya bhi tu,
Tu jaan-e-anjuman hi nahin anjuman bhi hai..
Baazu chhua jo tu ne to us din khula ye raaz,
Tu sirf rang-o-bu hi nahin hai badan bhi hai..
Ye daur kis tarah se katega pahaad sa,
Yaaro batao hum mein koi kohkan bhi hai.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Aql-e-ma'ash = mental resources for earning livelihood,
Hikmat-e-duniya = wisdom of the world,
Mutrib = singer, minstrel,
Nadeem = a boon companion, a favourite courtier of a king,
Kohkan = mountain breaker,
No comments:
Post a Comment