Matlab muamalaat ka kuchh pa gaya hun main,
Hans kar fareb-e-chashm-e-karam kha gaya hun main,
Bas intiha hai chhodiye bas rahne dijiye,
Khud apne aitimaad se sharma gaya hun main,
Saaqi zara nigaah mila kar to dekhna,
Kambakht hosh mein to nahin aa gaya hun main,
Shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap,
Mahfil mein is khyaal se phir aa gaya hun main,
Kya ab hisaab bhi tu mera lega hashr mein,
Kya ye itaab kam hai yahaan aa gaya hun main,
Main ishq hun mera bhala kya kaam daar se,
Wo shar'a thi jise wahaan latka gaya hun main,
Nikla tha may-kade se ki ab ghar chalun 'Adam',
Ghabra ke su-e-may-kada phir aa gaya hun main.!!
"Abdul Hameed Adam"
__________
Muamalaat = affairs,
aitimaad = Confidence, Faith,
Itaab = temper, reprimand, reproach,,
Daar = gallows, place, house,
Shar'a = interpretation, code of conduct,
No comments:
Post a Comment