Main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-aarzu!
Tu hi bata de naaz se imaan-e-aarzu!
Aansu nikal rahe hain tasawwur mein ban ke phool,
Shadaab ho raha hai gulistaan-e-aarzu!
Imaan o jaan nisaar teri ek nigaah par,
Tu jaan-e-aarzu hai tu imaan-e-aarzu!
Hone ko hai tulu sabah-e-shab-e-wisaal,
Bujhne ko hai charagh-e-shabistaan-e-aarzu!
Ek wo ke aarzuon pe jeete hain umr bhar,
Ek hum ke hain abhi se pashimaan-e-aarzu!
Aankhon se ju-e-khoon hai rawaan dil hai daagh daagh,
Dekhe koi bahaar-e-gulistaan-e-aarzu!
Dil mein nashaat-e-rafta ki dhundli si yaad hai,
Ya shaam-e-wasl hai tah-e-damaan-e-aarzu!
'Akhtar' ko zindagi ka bharosa nahin raha,
Jab se luta chuke sar-o-samaan-e-aarzu!!
"Akhtar Shirani"
_____
Ju-e-khoon = river of blood,
Nashaat-e-rafta = bugone, past joys,
No comments:
Post a Comment