Ye daadhiyan ye tilak dhaariyan nahin chaltin,
Humare ahd mein makkaariyan nahin chaltin,
Qabeele waalon ke dil jodiye mere sardaar,
Saron ko kaat ke sardaariyan nahin chaltin,
Bura na maan agar yaar kuchh bura kah de,
Dilon ke khel mein khuddariyan nahin chaltin,
Chhalak chhalak padi'n aankhon ki gaagarein aksar,
Sambhal sambhal ke ye panhaariyan nahin chaltin,
Janab-e-'Kaif' ye dilli hai 'Meer' o 'Ghaalib' ki,
Yahaan kisi ki taraf-daariyan nahin chaltin.!!
"Kaif Bhopali"
No comments:
Post a Comment