Mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sahar lagti hai,
Sar se pa tak wo samaa'n hai ke nazar lagti hai,
Hum ne har gaam pe sajdon ke jalaye hain charagh,
Ab humein teri gali rahguzar lagti hai,
Lamhe lamhe mein basi hai teri yaadon ki mahak,
Aaj ki raat to khushbu ka safar lagti hai,
Jal gaya apna nasheman to koi baat nahin,
Dekhna ye hai ke ab aag kidhar lagti hai,
Saari duniya mein ghareebon ka lahu bahta hai,
Har zameen mujh ko mere khoon se tar lagti hai,
Koi aasuda nahin ahl-e-siyasat ke siwa,
Ye sadi dushman-e-arbaab-e-hunar lagti hai,
Waaqia shahar mein kal to koi aisa na hua,
Ye to akhbaar ke daftar ki khabar lagti hai,
Lucknow kya teri galiyon ka muqaddar tha yahi,
Har gali aaj teri khaak-basar lagti hai.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Aasuda = satisfied, at ease, relaxed, contented,
Dushman-e-arbaab-e-hunar = enemy of those who are talented/skilful,
No comments:
Post a Comment