Maail-ba-karam mujh par ho jaayen to achchha ho,
Maqbool mere sajde ho jaayen to achchha ho..
Is dasht-nawardi se peechha to kahin chhoote,
Hum koocha-e-jaanaa mein mar jaayen to achchha ho..
Sar ho dar-e-jaanaa pe dam apna nikal jaaye,
Ye kaam mohabbat mein kar jaayen to achchha ho..
Yun to sabhi aaye hain dafnane mujhe lekin,
Wo bhi meri mayyat pe aa jaaten to achchha ho..
Phir dard-e-judaai ka jhagda na rahe koi,
Hum naam tera le kar mar jaayen to achchha ho..
Dekhein na kisi ko hum phir dekh ke rukh tera,
Deedar tera kar ke mar jaayen to achchha ho..
Rah jaaye mohabbat ka duniya mein bharam kuchh to,
Do phool hi turbat pe dhar jaayen to achchha ho..
Dhadka laga rahta hai har waqt balaon ka,
Hum saath nasheman ke jal jaayen to achchha ho..
Badnaam hi karne ko aayen wo magar aayen,
Wo itna karam mujh par kar jaayen to achchha ho..
Ja sakte hain jaane ko hum chal ke 'Fana' dekhein,
Wo khud humein mahfil mein bulwayen to achchha ho.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment