Maqam-e-hosh se guzra makaan se la-makaan pahuncha,
Tumhaare ishq mein deewana-e-manzil kahaan pahuncha.!
Nazar ki manzilon mein bas tumhin husn-e-mujassam the,
Mata-e-aarzu le kar main ulfat mein jahaan pahuncha.!
Usi ne ishq ban kar do-jahaan ko phoonk daala hai,
Wo shoala jo teri nazron se dil ke darmiyaan pahuncha.!
Junoon zaahir hua rukh par khudi par be-khudi chhaai,
Ba-qaid-e-hosh main jab bhi qareeb-e-aastaan pahuncha..
Tum apni justuju mein ye mera shauq-e-talab dekho,
Tumhaare ishq mein lut kar bhi tum tak jaan-e-jaan pahuncha.!
Ta'alluq tod kar jaan-e-jahaan saare zamane se,
Main pahuncha tha jahaan mujh ko teri khaatir wahaan pahuncha.!
'Fana' wo jalwa-gar hone lage har bazm-e-imaan mein,
Mera dil le ke jab mujh ko sar-e-ku-e-butaa'n pahuncha.!!
"Fana Bulandshahri"
__________
Husn-e-mujassam = beauty incarnate,
Sar-e-ku-e-butaa'n = towards the lover's street,
No comments:
Post a Comment