Sunday, May 27, 2018

Kahin Sukoon Na Mila Dil Ko Bazm-e-yaar Ke Baad

Kahin sukoon na mila dil ko bazm-e-yaar ke baad,
Ke be-qaraar rahi zindagi qaraar ke baad,

Uthe na paanw mohabbat ki rahguzaar ke baad,
Koi qayaam nahin hai tere dayaar ke baad,

Qaba'en chaak to karte rahenge deewane,
Kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad,

Sharab-e-ishq ka may-kash raha sada mad'hosh,
Teri nigaah ki masti chadhi khumar ke baad,

Nigah-e-shauq ne donon jahaan ko chhaan liya,
Mila na rang koi jalwa-gah-e-yaar ke baad,

Talab hai us ki to ho jao qatl-e-ishq 'Fana',
Mili hain azmatein mansoor ko bhi daar ke baad.!!

"Fana Bulandshahri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...