Tuesday, May 22, 2018

Laakh Aawara Sahi Shahron Ke Futpathon Pe Hum

Laakh aawara sahi shahron ke futpathon pe hum,
Laash ye kis ki liye phirte hain in haathon pe hum,

Ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hansi,
Be-tarah imaan le aaye the jin baaton pe hum,

Koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin,
Muft ka ilzaam rakh dete barsaaton pe hum,

Zulf se chhanti hui us ke badan ki taabishen,
Hans diya karte the aksar chandni raaton pe hum,

Ab unhen pahchante bhi sharm aati hai humein,
Fakhr karte the kabhi jin ki mulaqaton pe hum.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...