Tuesday, May 22, 2018

Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho

Jism ki har baat hai aawargi ye mat kaho,
Hum bhi kar sakte hain aisi shaairi ye mat kaho,

Us nazar ki us badan ki gungunahat to suno,
Ek si hoti hai har ek raagni ye mat kaho,

Hum se deewanon ke bin duniya sanwarti kis tarah,
Aql ke aage hai kya deewangi ye mat kaho..

Kat saki hain aaj tak sone ki zanjeerein kahaan,
Hum bhi ab aazad hain yaaro abhi ye mat kaho. 

Paanw itne tez hain uthte nazar aate nahin,
Aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho..

Jitne waade kal the utne aaj bhi maujood hain,
Un ke waadon mein hui hai kuchh kami ye mat kaho..

Dil mein apne dard ki chhitki hui hai chandni,
Har taraf phaili hui hai teergi ye mat kaho.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...