Kuttiya mein kaun aayega is teergi ke saath,
Ab ye kiwaad band karo khamushi ke saath,
Saaya hai kam khajoor ke oonche darakht ka,
Ummid baandhiye na bade aadmi ke saath,
Chalte hain bach ke shaikh o barhaman ke saaye se,
Apna yahi amal hai bure aadmi ke saath,
Shaistagan-e-shahar mujhe khwah kuchh kahein,
Sadkon ka husn hai meri aawargi ke saath,
Shaair hikayatein na suna wasl o ishq ki,
Itna bada mazaaq na kar shaairi ke saath,
Likhta hai ghum ki baat masarrat ke mood mein,
Makhsoos hai ye tarz faqat 'Kaif' hi ke saath.!!
"Kaif Bhopali"
No comments:
Post a Comment