Tuesday, May 15, 2018

Jism Par Baaqi Ye Sar Hai Kya Karun

Jism par baaqi ye sar hai kya karun,
Dast-e-qaatil be-hunar hai kya karun,

Chahta hun phoonk dun is shahar ko,
Shahar mein un ka bhi ghar hai kya karun,

Wo to sau sau martaba chahein mujhe,
Meri chahat mein kasar hai kya karun,

Paanw mein zanjeer kaante aable,
Aur phir hukm-e-safar hai kya karun,

'Kaif' ka dil 'Kaif' ka dil hai magar,
Wo nazar phir wo nazar hai kya karun,

'Kaif' mein hun ek nuraani kitaab,
Padhne waala kam-nazar hai kya karun.!!

"Kaif Bhopali"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...