Saturday, May 12, 2018

Koshish Ke Bawajood Ye Ilzaam Rah Gaya

Koshish ke bawajood ye ilzaam rah gaya,
Har kaam mein hamesha koi kaam rah gaya,

Chhoti thi umr aur fasana taweel tha,
Aaghaaz hi likha gaya anjaam rah gaya,

Uth uth ke masjidon se namazi chale gaye,
Dahshat-garon ke haath mein islam rah gaya,

Us ka qusoor ye tha bahut sochta tha wo, Main
Wo kaamyab ho ke bhi nakaam rah gaya,

Ab kya batayen kaun tha kya tha wo ek shakhs,
Ginti ke chaar harfon ka jo naam rah gaya.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...