Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta,
Kahin zameen kahin aasman nahin milta,
Tamaam shahar mein aisa nahin khuloos na ho,
Jahaan ummeed ho is ki wahaan nahin milta,
Kahaan charagh jalayen kahaan gulaab rakhein,
Chhatein to milti hain lekin makaan nahin milta,
Ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain,
Zabaan mili hai magar hum-zabaan nahin milta,
Charagh jalte hain binaai bujhne lagti hai,
Khud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahin milta.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment