Saturday, May 12, 2018

Kuch Bhi Bacha Na Kahne Ko Har Baat Ho Gayi

Kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
Aao kahin sharaab piyein raat ho gayi,

Phir yun hua ke waqt ka paasa palat gaya,
Ummeed jeet ki thi magar maat ho gayi,

Suraj ko chonch mein liye murgha khada raha,
Khidki ke parde kheench diye raat ho gayi,

Wo aadmi tha kitna bhala kitna pur-khuloos,
Us se bhi aaj lijiye mulaqaat ho gayi,

Raste mein wo mila tha main bach kar guzar gaya,
Us ki phati qamees mere saath ho gayi,

Naqsha utha ke koi naya shahar dhundhiye,
Is shahar mein to sab se mulaqaat ho gayi.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...