Friday, May 25, 2018

Koi Soche Na Humein Koi Pukara Na Kare

Koi soche na humein koi pukara na kare, 
Hum kahin hain ke nahin hain koi charcha na kare..

Raat afsoo'n hai kahin ka nahin rahne deti,
Din ko soye na koi raat ko jaaga na kare..

Hum nikal aaye hain ab dhoop mein jalne ke liye,
Koi baadal nahin bheje koi saaya na kare..

An-ginat aankhon mein hum jalte rahe bujhte rahe,
Ab bhale khwab humara koi dekha na kare..

Hum ne ek shahar basa rakkha hai deewaron mein,
Kaam jo dil ne kiya chashm-e-tamasha na kare..

Koi ab ja ke zara dekhe to us mitti ko,
Aise sairaab kiya hai koi dariya na kare..

Go faramoshi ki takmeel hua chahti hai,
Phir bhi kah do ke humein yaad wo aaya na kare..

Hum use ranj-e-tamanna se to bhar sakte hain,
Aur ye dil hai ke ab koi taqaaza na kare..

Waar karna hai agar hum pe to wo khul kar aaye,
Aur bhoole se bhi ye kaam wo tanha na kare.!! 

"Abrar Ahmad"
__________

Afsoo'n = charm, magic spell,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...