Kitni be-saakhta khata hun main,
Aap ki raghbat-o-raza hun main,
Main ne jab saaz chhedna chaaha,
Khamushi cheekh uthi sada hun main,
Hashr ki subah tak to jaagunga,
Raat ka aakhiri diya hun main,
Aap ne mujh ko khoob pahchaana,
Waaqai sakht bewafa hun main,
Main ne samjha tha main mohabbat hun,
Main ne samjha tha muddaa hun main,
Kaash mujh ko koi bataaye 'Adam',
Jis pari-wash ki bad-dua hun main.!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment