Kisi jhoothi wafa se dil ko bahlana nahin aata,
Mujhe ghar kaaghazi phoolon se mahkana nahin aata,
Main jo kuchh hun wahi kuchh hun jo zaahir hai wo baatin hai,
Mujhe jhoothe dar-o-deewar chamkana nahin aata,
Main dariya hun magar bahta hun main kohsaar ki jaanib,
Mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata,
Zar-o-maal-o-jawahir le bhi aur thukra bhi sakta hun,
Koi dil pesh karta ho to thukrana nahin aata,
Parinda jaanib-e-daana hamesha ud ke aata hai,
Parinde ki taraf ud kar kabhi daana nahin aata,
Agar sahra mein hain to aap khud aaye hain sahra mein,
Kisi ke ghar to chal kar koi veerana nahin aata,
Hua hai jo sada us ko naseebon ka likha samjha,
'Adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata..!!
"Adeem Hashmi"
No comments:
Post a Comment