Wednesday, May 9, 2018

Kis Hawaale Se Mujhe Kis Ka Pata Yaad Aaya

Kis hawaale se mujhe kis ka pata yaad aaya,
Husn-e-kaafir ko jo dekha to khuda yaad aaya,

Ek toota hua paimaan-e-wafa yaad aaya,
Yaad aaya bhi mujhe aaj to kya yaad aaya,

Shaam ke haath ne jis waqt laga li mehndi,
Mujhe us waqt tera rang-e-hina yaad aaya,

Kahin aankhon ki nami raaz na ifsha kar de,
Main ne munh pher liya tu jo zara yaad aaya,

Saare fankar utha laaye the shahkaaron ko,
Aur main tha mujhe andaz tera yaad aaya,

Kitni duniya thi mere gird tujhe kya maloom,
Badi mushkil se mujhe tera pata yaad aaya,

Tere daaman mein nami itni zyaada kyun hai,
Kaun sa phool tujhe baad-e-saba yaad aaya,

Jab kisi ko koi ummeed wafaaon ki na thi,
Mujhe us pal tera paimaan-e-wafa yaad aaya,

Qadam uthte the kahaan su-e-haram apne 'Adim',
Aaj mushkil nazar aai to khuda yaad aaya.!!

"Adeem Hashmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...