Koi patthar koi gauhar kyun hai,
Farq logon mein is qadar kyun hai,
Tu mila hai to ye khyaal aaya,
Zindagi itni mukhtasar kyun hai,
Jab tujhe laut kar nahin aana,
Muntazir meri chashm-e-tar kyun hai,
Us ki aankhein kahin sadaf to nahin,
Us ka har ashk hi gauhar kyun hai,
Raat pahle hi kyun nahin dhhalti,
Teergi shab ki ta-sahar kyun hai,
Ye bhi kaisa azaab de daala,
Hai mohabbat to is qadar kyun hai,
Tu nahin hai to roz-o-shab kaise,
Shaam kyun aa gayi sahar kyun hai,
Kyun rawana hai har ghadi duniya,
Zindagi mustaqil safar kyun hai,
Main to ek mustaqil musafir hun,
Tu bhala mera hum-safar kyun hai,
Tujhe milna nahin kisi se 'Adim',
Phir bichhadne ka tujh ko darr kyun hai.!!
"Adeem Hashmi"
___
Sadaf = a shell, a mother of pearl,
Gauhar = pearl, gem,
No comments:
Post a Comment