Khata'waar-e-murawwat ho na marhoon-e-karam ho ja,
Masarrat sar jhukayegi parastaar-e-alam ho ja,
Inhi be-rabt khwaabon se koi tabeer niklegi,
Inhi uljhi hui raahon pe mera hum-qadam ho ja,
Kisi zardaar se jins-e-tabassum maangne waale,
Kisi bekas ke laashe par sharik-e-chashm-e-nam ho ja,
Kisi din in andheron mein charaghaa'n ho hi jayega,
Jala kar daagh-e-dil koi ziya-e-shaam-e-ghum ho ja,
Tujhe suljhayega ab inqilaab-e-waqt ka shaana,
Taqaza-e-junoon hai gesu-e-dauraa'n ka kham ho ja,
Tajassus markaz-e-taqdeer ka qaail nahin hota,
Shaoor-e-bandagi! begana-e-dair-o-haram ho ja,
Ye manzil aur gard-e-karwaan 'saghar' kahaan apne,
Simat kar rahguzaar-e-waqt par naqsh-e-qadam ho ja.!!
"Saghar Siddiqui"
No comments:
Post a Comment