Kaliyon ki mahak hota taaron ki ziya hota,
Main bhi tere gulshan mein phoolon ka khuda hota,
Har cheez zamaane ki aaina-dil hoti,
Khamosh mohabbat ka itna to sila hota,
Tum haal-e-pareshaan ki pursish ke liye aate,
Sahra-e-tamanna mein mela sa laga hota,
Har gaam pe kaam aate zulfon ke teri saaye,
Ye qaafila-e-hasti be-rahnuma hota,
Ahsaas ki daali par ek phool mahakta hai,
Zulfon ke liye tum ne ek roz chuna hota.!!
"Saghar Siddiqui"
No comments:
Post a Comment