Khairaat sirf itni mili hai hayat se,
Paani ki boond jaise ata ho furaat se,
Shabnam isi junoon mein azal se hai seena-koob,
Khursheed kis maqaam pe milta hai raat se,
Nagaqh ishq waqt se aage nikal gaya,
Andaza kar rahi hai khirad waqiaat se,
Su-e-adab na thehre to dein koi mashwara,
Hum mutmaeen nahin hain teri kaainat se,
Saakit rahein to hum hi theharte hain ba-qusoor,
Bolein to baat badhti hai chhoti si baat se,
Aasan-pasandiyon se ijaazat talab karo,
Rasta bhara hua hai 'Adam' mushkilaat se.!!
"Abdul Hameed Adam"
__________
Seena-koob = chest-beating,
Nagaah = accidentally, suddenly,
Su-e-adab = insolence, rudeness,
Saakit = at rest, static,
No comments:
Post a Comment