||| Nazm |||
Subah se shaam tak
Silsila zeest ka,
Kis qadar hai kathin kis qadar be-amaa'n,
Lamha lamha sisakti hui zindagi,
Har qadam par bilakti hui zindagi,
Khwahishon ki aseeri pe nauha-kunaa'n,
Har ghadi jism-o-jaan
Rooh ghayal kharaashon ke dil par nishaa'n,
Roz-e-awwal se jaari-o-saari yahaan,
Wahshaton ka samaa'n,
Koi pal bhi aziyat se khaali nahin,
Kaun si aankh hai jo sawaali nahin,
Koi waaris nahin koi waali nahin,
Gulshan-e-khwaab ka koi maali nahin,
Khatm hota nahin shor-e-aah-o-fughaa'n,
Hai azal se abad tak yahi dastaan
Al-amaa'n Al-amaa'n..!!
"Naaz Butt"
No comments:
Post a Comment