Jalwa jo tere rukh ka ahsaas mein dhhal jaaye,
Is aalam-e-hasti ka aalam hi badal jaaye,
Un mast nigaahon ka ek daur jo chal jaaye,
Hum dard ke maaron ki taqdeer badal jaaye,
Masroof-e-ibaadat ka yun khatm ho afsana,
Sar ho teri chaukhat pe dam mera nikal jaaye,
Tu lakh bacha daaman dar se na uthunga main,
Un mein se nahin hun main taale se jo tal jaaye,
Ai jaan-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de,
Aisa na ho deewana qadmon pe machal jaaye,
Hasrat bhari aankhon mein ek pal ke liye aa ja,
Dekhe jo teri surat deewana bahal jaaye,
Tu aag mohabbat ki bhar de meri nas nas mein,
Har zarra mere dil ka is aag mein jal jaaye,
Bijli tere jalwon ki gir jaaye kabhi mujh par,
Ai jaan meri hasti is aag mein jal jaaye,
Ai chaaragaro dekho beemar-e-mohabbat hun,
Tadbeer karo aisi dil jis se bahal jaaye,
Tu jazb-e-mohabbat mein kar le wo asar paida,
Jis samt nazar utthe ek teer sa chal jaaye,
Paamaal-e-rah-e-ulfat ho jaun mohabbat mein,
Wo shokh agar mujh ko qadmon se masal jaaye,
Taqdeer kare ahsaan yun baad-e-'Fana' mujh par,
Khaak-e-dar-e-jaanana munh par mere mal jaaye.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment