Kahein hum kya kisi se dil ki veeraani nahin jaati,
Humari zindagi bhi hum se pahchaani nahin jaati...
Ba-zaahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya mein,
Magar chehron se poshida pareshaani nahin jaati...
Rawa-daari ki chaadar se kahaan tak khud ko dhhapenge,
Ke is kam-zarf duniya mein to ye taani nahin jaati...
Bahut samjha liya dil ko bichhadna to muqaddar tha,
Na jaane kyun mere dil se pashemaani nahin jaati..
Bahut hi laadla thehra ye maana dil humara hai,
Magar ab is ki har ek baat to maani nahin jaati.!!
"Farah Iqbal"
No comments:
Post a Comment