Kabhi tum bheegne aana meri aankhon ke mausam mein,
Banana mujh ko deewana meri aankhon ke mausam mein..
Barasta bheegta ho jab koi lamha nigahon mein,
Wahin tum bhi thehar jaana meri aankhon ke mausam mein..
Kayi mausam guzaare hain unhon ne dhoop chhaanw ke,
naya mausam koi laana meri aankhon ke mausam mein..
Sunahri dhoop phaili ho kahin yaadon ke jangal mein,
To kirnein ban ke muskaana meri aankhon ke mausam mein..
Kabhi do-chaar ho jaayen meri nazrein jo tum se to,
Chhalak jayega paimana meri aankhon ke mausam mein..
Meri aankhon ke sab mausam hain tanhaai se ghabraye,
Na tanha chhorh kar jaana meri aankhon ke mausam mein..
Hain yun to faasle kitne zamaanon ke makaanon ke,
Magar milte ho rozaana meri aankhon ke mausam mein.!!
"Farah Iqbal"
No comments:
Post a Comment