Humein to saath chalne ka hunar ab tak nahin aaya,
Diya apne muqaddar ka nazar ab tak nahin aaya..
Thin jis baadal ke raste par hawa ki muntazir aankhein..
Wo shahron tak to aaya tha idhar ab tak nahin aaya..
Na jaane jangalon mein hum mile kitne darakhton se,
Ghana jis ka lage saaya shajar ab tak nahin aaya..
Tazabzub ke andheron mein bhatakta hai wo ek waada,
Palat kar jis ko aana tha wo ghar ab tak nahin aaya..
Sajaana chhorh de phoolon ko in chaandi se baalon mein,
Falak par wo sitara ek agar ab tak nahin aaya..
Bhula kar bas zara si der sajdon ki ibaadat ko,
Ye socho kyun duaon mein asar ab tak nahin aaya..
Jahaan laakhon mohabbat ke charaghon se ujala ho,
'Farah' raushan kisi dil ka wo dar ab tak nahin aaya.!!
"Farah Iqbal"
__________
Tazabzub = perplexity, uncertainty, ambiguity,
No comments:
Post a Comment