Jab lagein zakhm to qaatil ko dua di jaaye,
Hai yahi rasm to ye rasm utha di jaaye..
Dil ka wo haal hua hai ghum-e-dauraa'n ke tale,
Jaise ek laash chattanon mein daba di jaaye..
Inhin gul-rang dareechon se sahar jhaankegi,
Kyun na khilte hue zakhmon ko dua di jaaye..
Kam nahin nashshe mein jaade ki gulaabi raatein,
Aur agar teri jawaani bhi mila di jaaye..
Hum se poochho ke ghazal kya hai ghazal ka fan kya,
Chand lafzon mein koi aag chhupa di jaaye..!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment