Sunday, May 27, 2018

Jab Tak Mere Honthon Pe Tera Naam Rahega

Jab tak mere honthon pe tera naam rahega,
Dil be-khabar-e-gardish-e-ayyaam rahega,

Mit jayega har naqsh-e-khyaal-e-ghum-e-hasti,
Lekin waraq-e-dil pe tera naam rahega,

Kyun darr hai gunaahon ke sabab hashr ke din se,
Hum jaante hain un ka karam aam rahega,

Paighaam to aayenge bahut dair-o-haram se,
Lekin teri chaukhat se mujhe kaam rahega,

May-khana salamat hai agar teri nazar ka,
Labrez may-e-ishq se har jaam rahega,

Daaman hai agar tera mere dast-e-talab mein,
Aaghaaz se behtar mera anjaam rahega,

Jayegi na dil se tere aariz ki mohabbat,
Zulfon ka tasawwur mujhe har shaam rahega,

Aankhein hi nahin teri 'Fana' deed ke qaabil,
Tu jalwa-gah-e-yaar mein nakaam rahega.!!

"Fana Bulandshahri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...