Sunday, May 27, 2018

Husn-e-butaa'n Ka Ishq Meri Jaan Ho Gaya

Husn-e-butaa'n ka ishq meri jaan ho gaya, 
Ye kufr ab to haasil-e-imaan ho gaya,

Ai zabt-e-dil ye kaisi qayamat guzar gayi,
Deewangi mein chaak garebaan ho gaya, 

Wo ban sanwar ke phir meri mahfil mein aa gaye,
Baithe bithaye hashr ka samaan ho gaya, 

Kar ke singhaar aaye wo aisi ada ke saath,
Aaina un ko dekh kar hairaan ho gaya,

Dekha jo us sanam ko to mahsoos ye hua,
Jalwa khuda ka surat-e-insaan ho gaya,

Sab mera ishq dekh ke lete hain tera naam,
Main bhi tere jamaal ki pahchaan ho gaya,

Pooja karenge us ki 'Fana' hum tamaam umr,
Wo but humare waaste bhagwaan ho gaya.!!

"Fana Bulandshahri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...