Hum se bhaga na karo door ghazaalon ki tarah,
Hum ne chaaha hai tumhein chahne waalon ki tarah...
Khud-ba-khud neend si aankhon mein ghuli jaati hai,
Mahki mahki hai shab-e-ghum tere baalon ki tarah...
Tere bin raat ke haathon pe ye taaron ke ayagh,
Khoobsurat hain magar zahar ke pyaalon ki tarah...
Aur kya is se zyaada koi narmi bartun,
Dil ke zakhmon ko chhua hai tere gaalon ki tarah...
Gungunaate hue aur aa kabhi un seeno'n mein,
Teri khaatir jo mahakte hain shiwaalon ki tarah...
Teri zulfein teri aankhein tere abru tere lab,
Ab bhi mashhoor hain duniya mein misaalon ki tarah...
Hum se mayoos na ho ai shab-e-dauraa'n ke abhi,
Dil mein kuchh dard chamakte hain ujaalon ki tarah...
Mujh se nazrein to milao ke hazaaron chehre,
Meri aankhon mein sulagte hain sawaalon ki tarah...
Aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila,
Chand sikke hain mere haath mein chhaalon ki tarah...
Justuju ne kisi manzil pe theharne na diya,
Hum bhatakte rahe aawara khyaalon ki tarah...
Zindagi jis ko tera pyaar mila wo jaane,
Hum to nakaam rahe chahne waalon ki tarah..!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment