Husn ko chaand, jawaani ko kanwal kahte hain,
Un ki surat nazar aaye to ghazal kahte hain..
Uf wo marmar se tarasha hua shaffaaf badan,
Dekhne waale use taj-mahal kahte hain..
Wo tere husn ki qeemat se nahin hain waaqif,
Pankhudi ko jo tere lab ka badal kahte hain..
Pad gayi paanw mein taqdeer ki zanjeer to kya,
Hum to us ko bhi teri zulf ka bal kahte hain.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment