Hum ko to intizaar-e-sahar bhi qubool hai,
Lekin shab-e-firaaq tera kya usool hai,
Ai maah-e-neem-shab teri raftaar ke nisaar,
Ye chandni nahin tere qadmon ki dhool hai,
Kaanta hai wo ke jis ne chaman ko lahu diya,
Khoon-e-bahaar jis ne piya hai wo phool hai,
Dekha tha ahl-e-dil ne koi sarw-e-nau-bahaar,
Daaman ulajh gaya to pukaare babool hai,
Baaqi hai pau phate bhi sitaaron ki raushni,
Shayad mareez-e-shab ki tabiyat malool hai,
Jab mo'atbar nahin tha mera ishq-e-bad-gumaan,
Ab husn-e-khud-farosh ka rona fuzool hai,
Lut kar samajh rahe hain ke naadim hai rahzan,
Kitni haseen ahl-e-murawwat ki bhool hai.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment