Har ghadi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha,
Mera dil bas teri tasveer ka deewana raha,
Ye sitam mujh pe mere ishq ka achchha na raha,
Tujh ko dekha to mera dil mera apna na raha,
Aisa mad'hosh kiya teri tajalli ne mujhe,
Toor bhi mere liye wajah-e-tamasha na raha,
Zindagani tujhe le jaaun mein kis ke dar par,
Dil mein hasrat na rahi sar mein bhi sauda na raha,
Wo na kaabe mein mila hai na sanam-khane mein,
Kya qayamat hai ke wo shokh kisi ka na raha,
Ibtida ye thi ke main apna samajhta tha unhein,
Intiha ye hai ke main aap bhi apna na raha,
Wo paraya tha 'Fana' is ka gila kya kijiye,
Ghum to ye hai ke main khud aap bhi apna na raha.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment