Hum ne kaati hain teri yaad mein raatein aksar,
Dil se guzri hain sitaron ki baraatein aksar..
Aur to kaun hai jo mujh ko tasalli deta,
Haath rakh deti hain dil par teri baatein aksar..
Husn shaaista-e-tahzeeb-e-alam hai shayad,
Ghum-zada lagti hain kyun chandni raatein aksar..
Haal kahna hai kisi se to mukhatab hai koi,
Kitni dilchasp hua karti hain baatein aksar..
Ishq rahzan na sahi ishq ke haathon phir bhi,
Hum ne lut ti hui dekhi hain baratein aksar..
Hum se ek baar bhi jeeta hai na jeetega koi,
Wo to hum jaan ke kha lete hain maatein aksar..
Un se poochho kabhi chehre bhi padhe hain tum ne,
Jo kitaabon ki kiya karte hain baatein aksar..
Hum ne un tund-hawaon mein jalaye hain charaagh,
Jin hawaon ne ulat di hain bisaatein aksar..!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Shaaista-e-tahzeeb-e-alam = Civilized by refinement; purification; correction by grief;
Tund-hawaon = swift breezes,
No comments:
Post a Comment