Monday, May 21, 2018

Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Hum Ne

Hausla kho na diya teri nahin se hum ne,
Kitni shikno'n ko chuna teri jabeen se hum ne...

Wo bhi kya din the ke deewana bane phirte the,
Sun liya tha tere baare mein kahin se hum ne...

Jis jagah pahle-pahal naam tera aata hai,
Dastaan apni sunaai hai wahin se hum ne...

Yun to ahsaan haseenon ke uthaye hain bahut,
Pyaar lekin jo kiya hai to tumhin se hum ne...

Kuchh samajh kar hi khuda tujh ko kaha hai warna,
Kaun si baat kahi itne yaqeen se hum ne.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...