Hum kahaan aaina le kar aaye,
Log uthaye hue patthar aaye,
Dil ke malbe mein daba jaata hun,
Zalzale kya mere andar aaye,
Jalwa jalwe ke muqabil hi raha,
Tum na aaine se baahar aaye,
Dil salasil ki tarah bajne laga,
Jab tere ghar ke barabar aaye,
Jin ke saaye mein saba chalti thi,
Phir na wo log palat kar aaye,
Sheyr ka roop badal kar 'Baqi',
Dil ke kuch zakhm zabaan par aaye.!!
"Baqi Siddiqui"
__________
Salasil = Shackles, Chains,
No comments:
Post a Comment