Hum zarre hain khaak-e-rahguzar ke,
Dekho humein baam se utar ke,
Chup ho gaye yun aseer jaise,
Jhagde the tamaam baal-o-par ke,
Waada na dilaao yaad un ka,
Naadim hun khud aitibaar kar ke,
Ai baad-e-sahar na chhed hum ko,
Hum jaage hue hain raat-bhar ke,
Shabnam ki tarah hayat ke khwab,
Kuchh aur nikhar gaye bikhar ke,
Jab un ko khyaal-e-waz'aa aaya,
Andaaz badal gaye nazar ke,
Yun maut ke muntazir hain 'Baqi',
Mil jayega chain jaise mar ke.!!
"Baqi Siddiqui"
__________
Khyaal-e-waz'aa = idea of style,
No comments:
Post a Comment