Aitibaar-e-nazar karen kaise,
Hum hawa mein basar karen kaise,
Tere ghum ke hazaar pahlu hain,
Baat hum mukhtasar karen kaise,
Rukh hawa ka badalta rahta hai,
Gard ban kar safar karen kaise,
Khud se aage qadam nahin jaata,
Marhala dil ka sar karen kaise,
Saari duniya ko hai khabar 'Baqi',
Khud ko apni khabar karen kaise.!!
"Baqi Siddiqui"
No comments:
Post a Comment