Himmat-e-iltija nahin baaqi,
Zabt ka hausla nahin baaqi..
Ek teri deed chhin gayi mujh se,
Warna duniya mein kya nahin baaqi..
Apni mashq-e-sitam se haath na kheench,
Main nahin ya wafa nahin baaqi..
Teri chashm-e-alam-nawaaz ki khair,
Dil mein koi gila nahin baaqi..
Ho chuka khatm ahd-e-hijr-o-wisaal,
Zindagi mein maza nahin baaqi..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment