* Nazm *
__________
Hawa ko aawara kahne waalo...
Kabhi to socho, kabhi to likkho,
Hawaa'en kyun apni manzilon se bhatak gayi hain,
Na un ki aankhon mein khwab koi,
Na khwab mein intizaar koi,
Ab un ke saare safar mein subah-e-yaqeen koi,
Na shaam-e-sad-aitebaar koi,
Na un ki apni zameen koi na aasman par koi sitara,
Na koi mausam na koi khushbu ka istiaara,
Na raushni ki lakeer koi,
Na un ka apna safeer koi,
Jo un ke dukh par kitaab likkhe,
Musafirat ka azaab likkhe,
Hawa ko aawara kahne waalo...
Kabhi to socho.!!
"Noshi Gilani"
No comments:
Post a Comment