Haan wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai,
Jo ibaadat dar-e-jaanaa pe ada hoti hai,
Jo giraftaar-e-mohabbat hain ye un se poochho,
Naaz kya cheez hai kya cheez ada hoti hai,
Un ki nazron ki haqeeqat ko koi kya jaane,
Un ki nazron mein har ek ghum ki dawa hoti hai,
Kyun na chehre pe malun khaak-e-dar-e-yaar ko main,
Yahi wo khaak hai jo khaak-e-shifa hoti hai,
Rayegaan sajde bhi ho jaate hain maqbool-e-karam,
Shaamil-e-haal agar un ki raza hoti hai,
Jaane kya cheez chhupi hai tere jalwon mein sanam,
Saari duniya tere jalwon pe fida hoti hai,
Main bhi hun ek inayat ki nazar ka taalib,
Tere kooche mein mareezon ko shifa hoti hai,
Un ke may-khane ko chhu aati hai jab fasl-e-bahaar,
Phool khil jaate hain masti mein hawa hoti hai,
Ai 'Fana' milta hai aashiq ko baqa ka paighaam,
Zindagi jab rah-e-ulfat mein fana hoti hai.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment