Har ek shakhs pareshan o dar-ba-dar sa lage,
Ye shahar mujh ko to yaaro koi bhanwar sa lage..
Ab us ke tarz-e-tajahul ko kya kahe koi,
Wo be-khabar to nahin phir bhi be-khabar sa lage..
Har ek ghum ko khushi ki tarah baratna hai,
Ye daur wo hai ki jeena bhi ek hunar sa lage..
Nashaat-e-sohbat-e-rindaa'n bahut ghanimat hai,
Ke lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatar sa lage..
Kise khabar hai ke duniya ka hashr kya hoga,
Kabhi kabhi to mujhe aadmi se darr sa lage..
Wo tund waqt ki rau hai ke panw tik na sakein,
Har aadmi koi ukhda hua shajar sa lage..
Jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir,
Sadi sadi ka zamana bhi mukhtasar sa lage.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Tarz-e-tajahul = form of ignorance,
Nashaat-e-sohbat-e-rindaa'n = pleasure, intoxication of company of drinkers,
Ghanimat = blessings/ boon/ plunder,
Pur-aashob-o-pur-khatar = full of calamity and danger,
Pls Embed my youtube channel on your Blog....
ReplyDelete#JouhereSuqan