Har ek rooh mein ek ghum chhupa lage hai mujhe,
Ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe..
Pasand-e-khaatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se,
Ye dil ka daagh jo khud bhi bhala lage hai mujhe..
Jo aansuon mein kabhi raat bheeg jaati hai,
Bahut qareeb wo aawaz-e-pa lage hai mujhe..
Main so bhi jaaun to kya meri band aankhon mein,
Tamaam raat koi jhaankta lage hai mujhe..
Main jab bhi us ke khyaalon mein kho sa jaata hun,
Wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe..
Main sochta tha ke lautunga ajnabi ki tarah,
Ye mera gaanw to pahchanta lage hai mujhe..
Na jaane waqt ki raftaar kya dikhati hai,
Kabhi kabhi to bada khauf sa lage hai mujhe..
Bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajood,
Har ek fard koi saaneha lage hai mujhe..
Ab ek aadh qadam ka hisaab kya rakhiye,
Abhi talak to wahi faasla lage hai mujhe..
Hikayat-e-ghum-e-dil kuchh kashish to rakhti hai,
Zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe..!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Pasand-e-khaatir-e-ahl-e-wafa = liked by people of constancy, appreciated by the loyal,
No comments:
Post a Comment