Dil ko har lamha bachate rahe jazbaat se hum,
Itne majboor rahe hain kabhi haalaat se hum,
Nashsha-e-may se kahin pyaas bujhi hai dil ki,
Tishnagi aur badha laaye kharajaat se hum,
Aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se,
Chaunk uthte the kabhi teri mulaqaat se hum,
Ishq mein aaj bhi hai neem-nigaahi ka chalan,
Pyaar karte hain usi husn-e-riwayaat se hum,
Markaz-e-dida-e-khubaan-e-jahaan hain bhi to kya,
Ek nisbat bhi to rakhte hain teri zaat se hum.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Kharajaat = tributes,
Markaz-e-dida-e-khubaan-e-jahaan = center of eyes; cynosure of beauties of world,
No comments:
Post a Comment